Tuesday, September 14, 2010

the state of mind! =)

मुझे सुकूँ चाहिए!
काश किसी दुकान पर..भले महंगा मिल जाता,
कहीं से उधारी कर के,
या कुछ भी जुगाड़ कर के मैं ले ही आती |
शायद चोरी चकारी भी कर आती |
पर सुकूँ मिलता..'गर दुकान पर,
तो खरीद लाती मैं..
सच!

समय की सड़क पर चलते चलते
पहुँच तो रही हू वहाँ,
शुरुआत ज़िन्दगी थी
मंजिल शायद मौत है |
कौन जानता है
उसके पार कुछ है भी..
या बस मनघडंत सी कहानीया
दिल-ओ-दिमाग पर छाप दी गई हैं..
गोदने की तरह |
लकीर के फ़कीर बने चले तो जा रहे हैं,
पर जानवर सी आँख होती
तो कुछ बात थी |
इन्सां पैदा हुए हैं
तो लकीर का झूठा छली रूप कैसे न नज़र आता |

ऊपर वहाँ आसमानों में
कोई है भी या नहीं..
या आँख पर पट्टी बाँधे
अँधे ख्यालातो को
पत्थर की लकीर सा मानते जाना
सोच रखा है |

लीक से परे हट कर चलना,देखना भी कहा गवारा है |
कभी शकेस्पेअरे समझते हैं ख़ुद को
तो कभी ख़ुदा समझ बैठते हैं |
और जब यही चाल
और यही नज़र
अँधेरे में बार बार
समय समय पर
प्रत्यारोपित करती रहती है..
तब अपनी औकात का पता चल जाता है!
साला ख़ुदा बनना भी
बड़ा रिस्की काम है!

-----

Mujhe sukoon chaahiye!
kaash kisi dukaan par..bhale mehnga mil jaata,
kahin se udhaari kar ke,
ya kuch bhi jugaad kar ke main le hi aati.
shaayad chori chakaari bhi kar aati.
par sukoon milta..'gar dukaan par,
to khareed laati main..
sach!

samay ki sadak par chalte chalte
pahunch to rahi hu wahan,
shuruaat zindagi thi
manzil shaayad maut hai.
kaun jaanta hai
uske paar kuch hai bhi..
ya bus manghadant si kahaaniya
dil-o-dimaag par chhaap di gai hain..
godne ki taraah.
lakeer ke fakeer bane chale to jaa rahe hain,
par jaanwar si aankh hoti
to kuch baat thi.
insaan paeda hue hain
to lakeer ka jhootha chhali roop kaise na nazar aata.

oopar wahaa aasmaano mein
koi hai bhi ya nahi..
ya aankh par patti baandhe
andhe khayalaato ko
pathhar ki lakeer sa maante jaana
soch rakha hai.

leek se pare hatt kar chalna,dekhna bhi kahaan gawaara hai.
kabhi shakespeare samajhte hain khud ko
to kabhi khuda samajh baithte hain.
aur jab yahi chaal
aur yahi nazar
andhere mein baar baar
pratyaropit karti rehti hai..
tab apni aukaat ka pata chal jaata hai!
saala khuda ban-na bhi
bada risky kaam hai!

10 comments:

  1. another nice one, true who knows what on the other side of the tunnel which we will surly reach all of us one day ...
    and yes Sala khuda banna is very risky.. imagine all the plight of all humans .. you got to cater for..

    very haeavy words used i could not understand some but i tried... on the whole.. Nice one

    ReplyDelete
  2. thanxx so much bikram :):)
    yeah! will try using simpler words from now on :)

    ReplyDelete
  3. phakirana andaj..........not very nice..:P

    ReplyDelete
  4. hahaha!
    chalo nice to laga janaab ko! if not "very" nice! ;) :P

    ReplyDelete
  5. This is wonderful poetry! Graciously serene.

    How come you have never commented on my page, found you from my followers list and I am glad I hopped in here.

    :)

    ReplyDelete
  6. chanced by.. lovely writing... beautiful expression!

    ReplyDelete