Saturday, April 30, 2011

Anonymous thought of the moment..

Sochti hu samjhaau
ke dil mein kya hai.

samandar hai..
aasmaa hai..
kaise batlaau
kaise samjhaau?

khudi jab puchhti hai
ke bataao mujhe..
to bol jaati hu ik dum mein sab
jaise samandar ko ik boond mein tabdeel kar diya ho

dekhti hoon jab sangharsh ko tumhaare,
aur dekhti hu sangharsh ko apne..
ik sanghyaa hai..
par saath juda hai ek visheshann
jo dikhta nahi par hai
aur asal mein sanghyaa
visheshan ka visheshann hai..

Sunday, April 24, 2011

Wrote this one a few days ago..state of mind of that moment! :)

mann bhar aayaa!
shayad,
itna bhar gaya ke
chhalakne laga tha..ab aadha gir gaya.
aadhe mann se jeene ko mann nahi karta ab
mann..bhar gaya ab!

kuch hain
jinke liye aadha bhi poora hai..
jinke liye aadha bhi amrit hai..
bhare huye dikhna hoga abhi,
unke liye aadha bhi poora hai.
bhare hue na dikhla sakti main abhi,
unke liye vish hoga.

mann bhar aayaa!
par bhare huye dikhna hoga..